Baithe baithe
bore huye, karna hai kuchh kaam. Shuru karo Antakshari le ke prabhu ka naam.
Bolo Ram Ram Ram.
Maayi ni maayi
munder pe teri bol raha hai kaaga. Jogan ho gayi teri dulaari, mann jogi sang
laga. *tung tung tunu nu nu tunu tunu tung tung* Ga!
Gore-gore mukhde
pe kaala kaala chashma. Roop hai karishma, rang hai karishma. Gore gore mukhde
pe kaala kaala chashma. Ma!
Mujhko huyi na
khabar, chori chori chup chup kar. Ab pyaar ki pehli nazar haaye, le gayi le
gayi. Dil le gayi le gayi. Ee!
Abey, ‘ee’ nahi ‘ya’
se gaana hai. Maatra ko consider nahi karte. Ya ke upar ee ki maatra lagi hai.
Chup bey! Aise
toh ‘ee’ wala koi bhi gaana nahi aayega!
Aayega! Abhi ‘ya’
se hai.
Yeh dil, deewana.
Deewana.. hai yeh dil. Deewane ne. Mujhko bhi. Ah! Kar daala.. deewana. Maine
uske shahar ko chhoda. Uski gali mein dil ko toda. Phir bhi seene mein dhadakta
hai yeh dil. Maine dil se use nikaala. Jo na karna tha kar daala. Phir bhi yaad
ussi ko karta hai yeh dil. Yeh dil. Deewana. Na!
Na na na na na
re, na re, na re. Na na na na na re, na re, na re na. Oh saade naal rahoge te
aish karoge. Zindagi de saare maze kaish karoge. Saade naal, hoye hoye. Saade
naal. Bruaa! Aa!
Oye, yeh koi
bruaaa-vruaaa count nahi hota. Main toh ‘la’ se gaaunga.
Kyun bhai?
Bruaaa ke end mein koi maatra nahi aati. ‘Aa’ aata hai.
Pagal hai kya!
Phir tu maayi ni maayi ke baad ‘tung tung tung tung’ ko bhi maan leta.
Woh guitar ki
tune hai. Yeh bruaaa munh se bolta hai.
Bakwaas mat kar. ‘La’
se hoga.
Achha theek
hai. Rondu saale! Gaa le. Cheating karni hai tujhe befaltu mein. Haarega toh tu
hi.
Lalla lalla lori,
doodh ki katori. Doodh mein batasha. Munna kare tamasha. Sha!
Bas, yehi gaana
gaane ke liye ro raha tha? Saale, ek line toh gaayi nahi poori!
Sheher ki
ladki. Oh-ho-ho! Sheher ki ladki. Ah-ha-ha! Sheher ki ladki. Aankh mila ke poochhe
hi how are you. Haath mila ke bole how do you do. Style pe uski, smile pe uski.
Haaye tabiyat bhadki, sheher ki ladki. Ki!
Kabootar ja ja
ja. Kabootar ja ja ja. Pehle pyaar ki pehli chitthi… oh… Pehle pyaar ki pehli
chitthi saajan ko de aa. Kabootar ja ja ja. Kabootar ja ja ja. Ja!
Oh sir ji,
galat gaaya hai. Gaana “Ja ja ja” se shuru hota hai. Phir woh bolti hai “Kabootar
ja ja ja”.
Pagal hai kya!
Sayi bol raha
hun. Suna nahi hai toh bola mat kar. Kisi se bhi pooch le.
Haan, pooch!
Abhishek! Oye
kabootar ja ja ja “kabootar” se shuru hota hai ya “ja ja” se.
*Kabootar se*
Bas, saale. Jhand
ho gayi teri.
Ab tum mein se
kisi ko bhi nahi pata toh kya meri galti hai! Bhaad mein ja. Meri baari hai na.
Ja se gaaun?
Ja ja ja!
Kabootar ja ja ja! :P
Bas kar le ab.
Achha, um.
Jaadooo teri
nazar. Khushbooo tera badan. Tu haan kar. an a kar. Tu haan kar ya na kar. Tu
hai meri Kiran. Tu hai meri Kiran! Na!
Naani teri morni
ko mor le gaye. Baaki jo bacha tha kale chor le gaye. Achhi naani, pyaari
naani, roosa roosi chhod de. Jaldi se ek paisa de de, tu kanjoosi chhod de. Naani
teri morni ko mor le gaye. Baaki jo bacha tha kale chor le gaye. Ya!
Oye, ‘ae’ se
gaana hai. Yeh koi maatra vaatra wala rule mujhe nahi pata. Jo sound hai use gaao.
Ek do teen,
chaar paanch chhe saat aath nau, das gyarah. Barah tera. Tera karun. Tera karun
din gin gin ke.. intezaar. Aaja piya aayi baahar. Ra!
Ruk ruk ruk.
Arrey baba ruk. Oh my darling, give me a look. Dil mera dhadke tere liye. Dil
mera tadpe tere liye. Gussa tera wallah wallah. Nakhre tere uff uff uff! Fa!
Oye, aage bhi
hota hai. “Love love love love love love, tumse love hua.” ‘Aa’ se gaaunga ab
main.
Ajeeb daastan
hai ye. Kahan shuru kahan khatam. Yeh manzilen hai kaun si. Na woh samajh sake
na hum. Ajeeb daastan hai yeh. Ya!
Yahooo! Chaahe
koi mujhe jungle kahe. Kehne do ji, kehta rahe. Hum pyaar ke toofano mein giren
hain. Hum kya Karen. Yahoo! Ha!
Hamma hamma,
hamma hamma hamma! Aey..ae! Hamma hamma, hamma hamma hamma! Ek ho gaye hum aur
tum, aur udd gaye nindere. Toh khanki payal masti mein toh kangan khanke re. Hamma
hamma, hamma hamma hamma! Ma!
Main toh hun
pagal. Yeh kahun har pal. Kar koi hulchul. Hone de. Hone de. Hone de, hone de,
hone de. Koi deewaangee. *taen-na-na-taen-na-na, taen-na-na-taen-na-na* Ga!
Goli maar bheje
mein. Dishkyaaun! Ke bheja shor karta hai. Bheje ki sunega toh marega kallu. Tu
karega doosra bharega kallu. Mama kallu mama! Mama kallu mama! Ma!
Phir ‘ma’!
Madhuban mein jo
kanhaiya kisi ko pee se mile. Kabhi muskaaye kabhi chhede, kabhi baat kare.
Radha kaise na jale. Radha kaise na jale. Aag tann mann mein lage. Radha kaise
na jale. Radha kaise na jale. La!
Laal dupatte
wali tera naam toh bata. Kaale kurte wali tera naam toh bata. Tera naam toh
bata, tera naam toh bata. Tera naam toh bata. Aaye haaye. Oye hoye. Ae!
Ae ji. Oh ji. Ae
ji oh ji lo ji suno ji, main hun manmoji. Karta hun main jo who tum bhi kar ji.
One two ka four. Four two ka one. My name is Lakhan. My name is Lakhan. Sajanon
ka sajan. Mera naam hai Lakhan. Na!
Phir na! Saale,
yeh ‘na’ aur ‘ma’ se kitne gaane bana lun main!
Niboda niboda
niboda! Niboda niboda niboda! Arrey kaacha kaacha, chhota chhota niboda laaye
do. Laaye do, laaye do, laaye do. Haan, laaye do, laaye do, laaye do. Ja khet
se ja ke la niboda laaye do. Da!
Dholi taro,
dhol baaje…
Oh bhaisaab! ‘Da’
se gaana hai, ‘dha’ se nahi.
‘Dha’ bhi toh ‘D’
se start hota hai!
Abey, tu English
mein Antakshari khelta hai? Chup chaap ‘da’ se gaa le.
Chup chaap ga lun?
*tsssss* PJ,
saale! Koi chup karaao yaar isse!
Dulhe ki
saaliyon, hare dupatte waliyon. Dulhe ki saaliyon, hare dupatte waliyon. Joote
de do, paise le lo. Joote de do, paise le lo. Joote do, paise lo. Joote do,
paise lo. La!
Laila main Laila.
Aisi hun Laila. Har koi chaahe mujhse mila akela. Jisko bhi dekhun, duniya
bhula dun. Majnu bana dun. Aisi main Laila. La!
Ladki badi
anjaani hai. Sapna hai, sach hai, kahaani hai. Dekho ye pagli. Bilkul na badly.
Yeh toh wohi deewani hai. Oh-oh-oh. Oh-oh-oh. Oh-oh-oh. Oh-oh-ohhhh. O!
Oh oh jaane
jaana, dhoonde tujhe deewana. Sapno mein roz aaye, aa zindagi mein aana sanam.
*Tun tada tun. Tun tun tada ta tun tun. Tun tun tada ta tun tun* Ma!
Maahi ve! That’s
the way, maahi ve! Tere maathe jhumar
damke. Tere
kaanon baali chamke hai re. Maahi
ve. Tere haathon kangna khanke.
Tere pairon paayal chhanke hai re.
Maahi ve. Nainon se bole rabba rabba. Mann
mein dole rabba rabba. Amrit ghole
rabba rabba, tu soniye. Jind maahi
ve soniye, soniye, aaja maahi ve. Everybody
say soniye, soniye, aaja maahi ve. Va!
Wah wah Ram ji. Jodi
kya banaayi. Bhaiya aur bhabhi ko. Badhaai ho badhaai. Sab rasmo se badi hai
jagg mein dil se dil ki sagaai. Wah wah Ram ji. Ja!
Jooth bole
kauwa kaate. Kaale kauwe se dariyo. Main maayike chali jaaungi, tu dekhte
rahiyo.
Yaaron, dosti…
badi hi haseen hai. Yeh na ho toh kya phir… bolo yeh zindagi hai. Koi toh ho
raazdaar. Begaraz tera ho yaar. Koi toh ho raazdaar. Ra!
Oye! Mera bus
stop aa gaya! Bye! Kal continue karenge.
It’s
crazy how all good things end with KK’s “Yaaron, dosti…”! Anyway, they’ll start
again tomorrow, following the same circle, singing the same songs in a loop. Antakshari
is such a Jalebi, no?
^Zabardasti
ki analogy :P
Image Source: radiomantra.co.in
Memories.. and "zabardasti ki analogy"
ReplyDeleteSweet and crisp that was :D
Assi taan punjabi aati nahi,..but still
BRUUAAAAAA.... !!! :P
Haha. The "zabardasti ki analogy" stuck? :P
DeleteWell, I'm sure you already knew all about what precedes the phrase. It's like a universal script.
Hilarious!!!!!!! Bus stop reminds me that we used to play this game in the bus on our way back home from school! I'd give it 5 jalebis!
ReplyDeleteAha! Thank you :)
DeleteAntakshari was made for school buses. There was always so much action going on in the classes anyway for one to indulge in a game that shares its name's first two letters with Anu Kapoor. Coincidence?
Hahaha! Innocence personified! Even the arguments (in between the songs) used to be so mild with 'saale' being the one and only resort for abusive lingo.
ReplyDeleteAlso, if you can write so brilliantly, then why would you want me to open a Halwai shop for you? :D
So, take 6 @s from me! :)
Noor paaji! Your first comment here :D
DeleteThank you, ji, thank you :D
The next time we make a dinner plan, it's gonne be desi all the way with jalebis for dessert :)
This brought back so many memories. Thanks Sarthak. I'm all outa Jalebis. So I'm giving u 1.25 kgs of Roshogulla! Enjoy.
ReplyDeleteVariety is the mithai of life :D
DeleteMerely a smiling visitant here to share the love (:. btw outstanding style.
ReplyDeleteMy Big Kid
An fascinating discussion is value comment. I think that it is best to write extra on this matter. it won’t be a taboo topic however generally people are not enough to talk on such topics. To the next. Cheers
ReplyDeleteBacha
The singer has to sing whole lines after which s/he can also stop at the cease of those or following traces. The ultimate letter of the final word sung is then utilized by the following singer to sing any other track, beginning with that letter. The winner or winning crew is decided by a process of elimination.
ReplyDelete